Ghulam tum bhi thay Yaaron Ghulam hum bhi thay
Nahaa ke khuun mein aayi the Fasl-e-Aazadi
Maza to tab tha ke milkar Elaaj-e-Jaan karte
khud apne haath se Taameer-e-Gulsitaan karte
Hamare dard mein tum aur tumhare dard mein ham shareek hote
kuch Jashn-e-Aashiyaan karte.





